Whatsapp Me Group Video Call Kaise Kare Puri Jankari Hindi Me

Friends kya aap Whatsapp me group video call karna chahte hai lekin aapko pata nhi ki whatsapp se group video call kaise karte hai? Aaj ham is post me isi ke bare me janege ki whatsapp par group video call kaise karte hai, To friends ise janne ke liye aap hamare is post ko Shuru se lekar last tak pade aur ise carefully follow kare.

Friends aaj whatsapp itna jyada popular ho gaya hai ki aaj jiske pas bhi smartphone hai wo sabhi apne phone me whatsapp use karte hai. Starting me whatsapp ke pas itne feature available nahi the lekin samay ke sath sath whatsapp itna jyada popular aur grove karne laga ki aaj usne Group video call ka feature bhi apne app me dal diya hai.

Group video call ek aisa feature hai jiska ham kafi samay se intezar kar rhe the. Is feature ka use karke ham whatsapp application se group video calling bar sakte hai jo ki ek bahut hi accha feature hai ham sabhi ke liye..

Agar aap bhi apne family, friends ya relative ke sath video call karte rahte hai to ye feature aapke liye bahut helpfull ho sakta hai, Kyuki is feature ka use karke aap kisi bhi friends ka family member ko group video call kar sakte hai aur sabhi group members ke sath visually kisi bhi topic par bat kar sakte hai.

Internet par aisi bahut hi kam application hai jo group video call ka feature deti hai lekin whatsapp ne ise bhi possible kar diya hai. Whatsapp ne hal hi me yah naya feature apne app me update kiya hai jiske dwara aap ek bar ek hi nhi balki ek bar me ek se adhik logo ke sath video call kar sakte hai ya group video call kar sakte hai.

To mai pahle hi aapko bata du ki whatsapp par group video call karne ke liye aapko apne mobile me kisi third party app ki jarurat nhi padegi aap bina kisi app ke whatsap ke official app ke andar aisa kar sakte hai.Aapka jyada time waste na karte huye chailiye dekhte hai ki whatsapp se group video call kaise karte hai-

Sabse pahle aapko apne whatsapp ko playstore se update karna hoga, But mai aapse kahna chahuga ki aap play store se whatsapp ka beta version download karle kyui whatsapp ke beta version me wo sabhi feature pahle hi aa jate hai jo whatsapp me aane wale rahte hai. Whatsapp beta version me hame kisi bhi app ke advance me aane wale features pahle hi mil jate hai.

Isiliye ho sake to aap abhi whatsapp ka beta version hi download kare kyuki whatsapp group video calling ka feature abhi iske beta version me hi available hai lekin kuch hi dino me iske normal version me bhi ye feature update ho jayega.

Jab aap apne phone me whatsapp ka beta version install karle tab aap ise normally open kar lijiye aur uske bad group video call karne ke liye sabse pahle group ke first member ko video call kare aur jab video call connect ho jaye aur first member aapki video call receive karle tab aapko aapke mobile ke screen ke upar wale side me add contacts ka option dikhayi dega to bas aapko add contact ke icon par click karna hai, jaise hi aap add contact par click karege aapke samne aapki whatsapp contact ki list aa jayegi, ab unme se aapko jisko video call karna hai ya group video calll me add karna hai use select kar lijiye. Ab select kiye huye members ke pas call chala jayega aur jab wo aapki call receive kar lega tab aap tino aapas me video calling me add ho jaoge.

Yadi aap kisi aur member ko add karna chahte hai to isi tarah add contact karke jisko bhi group video callimg me add karna hai uska contact select karke use call kar lijiye aur use add kar lijiye.

Whatsapp me abhi filal ham ek bar me keval 3 hi logo ko group video calll me add kar sakte hai lekin bahut hi jald  aisa bhi ho sakta hai ki ham ek bar ke video call me 3 se jyada members ko add kar paye.

Friends I hope ki aapko hamare dwara di gayi jankari acchi lagi hogi. Yadi aapko hamara ye artical accha laga ho to ise apne apne friends ke sath share kare aur unhe btaye ki whatsapp ke is new feature ka use kaise karte hai jiski wajah se aapka friend bhi is feature ka fayda utha payega..

Leave a comment

SMM Hind Panel
0 Shares
Share via
Copy link
Powered by Social Snap