Kya aap ghar baithe online paise kamana chahte hai iske liye aap har roj kaafi mehnat karte hai phir bhi aap utne paise nahi kama pate hai jitna aap sochte hai.
Is article me ham un sabhi online tariko ke bare me janege jinki madad se aap aasani se kisi bhi tarike ko use karke online earning kar sakte hai.
Online earning karna jyada muskil kaam nahi hai aur bahut se log aaj bhi daily ka lakho rupaye sirf online hi kamate hai.
Chaliye ek ek karke ham un sabhi tariko ke bare me jante hai jinse ham aasani se online earn kar sakte hai, wo bhi bina kisi jyada mehnat ke.
Internet Se Online Paise Kaise Kamaye
Internet se paise kamane ke bahut se tarike hai, jaise ki Blogging, Affiliate, Promotion etc. Ye wo tarike hai jinki help se aap internet se aacha khaasa earn kar sakte hai. Inme se sabse jyada earning Affiliate marketing se hoti hai, aage isi article me ham, affiliate marketing kya hai aur ise kaise kare ke bare janege isiliye article ko pura jaroor padiyega.Best Method To Make Money Online
1. Blogging
Hamare sabse pahle method jo ki blogging hai isse aap ghar baithe online paise kama sakte hai. Blogging ek aisa tarika hai jisse online paise kamana bahut hi easy hai bas aapko ek blog banana hota hai phir us blog ko rank karana hota hai aur phir different methods ke jariye aap usse earning kar sakte hai. Blog kya hai? Ham me se kaafi logo ko pata hi nahi hai ki blog kya hota hai, waise mai aapko bata du ki Blog ek aisa platform hai jaha aap kisi topic par article likhkar usko internet ke jariye puri duniya ke sath online share kar sakte hai. Blogging Se Online Paise Kaise kamaye Ab aapke dimag me blog banake paise kaise kamate hai ka khayal aaya hoga, chaliye mai aapko ek ek karke batata hu jisse aap online paise kama sakege.- Sabse pahle to aapko ek domain purchase karna hota hai.
- Sath hi aapko kisi acchi hosting provider company se hosting purchase karna hota hai.
- Phir us domain ko hosting ke sath connect karna hota hai.
- Jab aapka domain connect ho jata hai tab aapko hosting ke cpanel se wordpress install karna hota hai.
- WordPress install hone ke baad usme aapko theme, plugin setup karna hota hai.
- Sab kuch setup ho jane ke baad aapko Pages banane hote hai jaise ki About us, Contact us, Disclaimer, Privacy policy etc.
- Phir aapko post wale option me jakar Add New Post par click karke ek accha sa unique post likhna hota hai, aur usko publish karna hota hai.
- Jab aap 20+ post likh dete hai tab aap kisi acchi se ad company ke ads apni website me lgake usse paise kama sakte hai.
- Blog se online paise kamane ke liye Google Adsense bahut hi badiya option hai, Adsense ke jariye aap kaafi paise kama sakte hai.