Kya aap apne phone ko root karna chahte hai aur iske liye internet par Root Kya Hai aur Android phone ko root kaise kare karke search karte hai.
Agar aisa kuch hai to aap bilkul sahi jagah par hai aaj ham is article me aapko android phone ko root karne ke un sabhi tariko ke bare me batayege jinse ki koi bhi android phone aasani se root ho sakega.
Yadi aap apne phone ke boss banna chahte hai aur apne ph0ne ko apne anusar customize karna chahte hai tab ye article aapke bahut kaam aane wala hai.
Waise to phone ko root wahi log karte hai jinhe apne phone ke sath kuch experiment karna hota hai, ya ve log jinhe technology me kaafi dilchaspi hoti hai.
Root Kya Hai
Root ek tarah se process hai jisme aap phone ko root karne ke baad apne phone ke sath bahut se customize kar sakte hai.
Jaise ki aap yadi phone me theme change karna chahte hai aur aapke phone me themes change karne ka option nahi hai tab aap ye kar sakte hai.
Aur yadi aap phone me pre install app ko uninstall nahi kar pa rahe hai tab aap root karne ke baad aasani se pre installed apps ko delete kar sakte hai.
Phone Ko Root Karne Ke Fayde
Waise to phone ko root karne ke bahut se fayde hai aur sath hi bahut se nuksan bhi hai jinhe ham vistar se janne ki kosish karte hai.
- Yadi aap apne phone ko root kar dete hai tab aap isse kisi wifi ka passoword jaan sakte hai.
- Phone ki charging capacity ko increase kar sakte hai.
- Phone se pre installed apps ko delete kar sakte hai.
- Ve app jinhe aap phone me install nahi kar sakte the unhe use kar sakte hai.
- Phone me bahut tarah ke customize kar sakte hai.
- Custom rom install kar sakte hai.
- Games ya apps ko modify kar sakte hai.
- Bahut si rooted android apps ko use kar sakte hai.
Phone Ko Root Karne Ke Nuksan
Waise to phone root karne ke fayde bahut se hai lekin iske nuksan bhi kam nahi hai.
- Sabse pahla nuksan to ye hai ki yadi aap apne phone ko root kar dete hai tab aap apne phone ki warranty kho dete hai.
- Phone ko root karte time phone dead hone ka khatra bahut jyada rahta hai.
- Phone ke sath aane wale update aapko nahi mil pate hai.
- Ek baar yadi aapka phone dead ho jaye tab aap use dobara thik nahi kar sakte hai.
Phone ko root kaise kare
Waise to aap apne phone ko without PC aur PC ki shayta se root kar sakte hai, chaliye ham dono tariko ko ek ek karke dekhte hai jisse hoga yah ki yadi aapka phone bina PC ke root nahi hoti hai tab PC ki shayata se root ho jayega.
Without PC ke phone root kaise kare.
yadi aap bina PC ke root karna chahte hai tab aap bahut si app ki help se aasani se root kar sakege, internet par aisi dher saari apps hai jinki madad se aap aasani se koi bhi phone root kar sakte hai, chaliye ek ek karke sabhi app ke bare me jante hai.
1. KingRoot
Sabse jyada use ki jane wali apps me se kingroot app hai, kyuki is app se aapko kaafi chance mil jaate hai phone root hone ke, is app ka interface itna accha bana diya gaya hai ki koi bhi new user iska use kar sakta hai.
- Sabse pahle aapko is app ko phone me install karna hota hai.
- Install karne ke baad is app ko ko phone ki sabhi permission dena hota hai.
- Phone ko root karne se pahle phone me full charge hona jaroori hota hai.
- Jaise hi aap is app ko open kar dete hai waise hi aapko Root Phone karke button dikayi deta hai.
- Jaise hi aap root button par click karte hai waise hi phone rooting process start ho jati hai.
- Jab process 100% complete ho jati hai tab aapka phone successful root ho jata hai.
2 . Kingoroot
Kingoroot app bhi aasani se kisi bhi phone ko root kar deta hai, iska bhi interface kingroot app jaisa hi isko bhi aap kingroot app jaise use kar sakte hai.
- Sabse pahle aap App ko open kare.
- Ab aapko Root karne ka option dikhayi dega simpaly uspe touch karna hai
- ab aapka mobile kuch hi der me root ho jayega
3. Framaroot
Is app ki help se aap ek click me kisi bhi phone ko root kar sakte hai, yadi aapka phone bahut hi purana hai tab ye app aapke liye bahut hi best hai.
- Is app me aapko bahut hi accha interface dekhne ko milta hai.
- App open karne ke baad root button par click karna hota hai.
- Button par click karte hi aapka phone instant root ho jata hai.
- Jise aap root checker ke jariye check kar sakte hai.
4. Vroot
- Vroot app bhi phone root karne ke liye ek accha app hai . Bina pc ke phone ko root karne ke liye ye app best hai
- Android phone ko root karne ke liye bs is app ko install karna hoga aur One click Root par click karna hoga.
- Download vroot
5. Z4Root
- Sabse pahle aapko Z4Root open karna hai
- Ab aapko Temporary root aur permanent root me choose karna hai aur click karna hai.
- ab aapka mobile safely root ho jayega
- Download Z4Root
6. Towel Root
- Sabse pahle sabhi app ki tarah hi is App ko open kare.
- Ab aapko bas ek option par touch karna hai jo Make it ran name se show hoga , uspar click kare
- Kuch second me aapka mobile root ho jayega
- Download TowelRoot
Root karne se pahle phone me kya kare
Kisi bhi Android phone ko root karne se pahle phone setting me jakar Unknown Sources ke option ko Enable kar de.
Sabhi android phone me ye option different different option ke andar hota hai phir bhi Unknown sources Enable karne ke liye Settings>>Security>>Unknown sources par tick karde.
PC se phone ko Root kaise kare
Yadi aap apne phone ko android apps se root karne me naakam hote hai tab aap PC ka use karke aasani se root kar sakte hai.
Niche batayi gayi sabhi steps ko follow karoge to aap bina kisi pareshani se phone ko root kar payege.
- Sabse pahle Kingo Root apk official website se download karke PC me install kar le.
- Download karne ke liye Click Here Button par touch karke download kar sakte hai
- Ab android phone ki setting me se Unknown Sources ke option ko enable kar dijiye.
- Iske baad USB Debugging ka option bhi enable kar dijiye, yadi aapko USB debugging ka option show nahi ho raha hai to, About phone wale option me jakar Build Number par 2-3 baar click kare aur waha se USB debugging ke option ko enable kare.
- Ab PC ke sath apne phone ko connect kar lijiye.
- Sath hi PC me internet chalu rakhoye jisse root hone me help milegi
- Jaise hi aapka phone PC se connect ho jata hai tab aapko Kingo Root app ko open karna hai jaha aapko No root ka alert show karta hai, iska mtlb aapka phone ab tk root nahi hai.
- App ke andar hi aapko Root button dikhayi deti hai jispar click karna hota hai.
- Jaise hi aap click karte hai waise hi root process start ho jati hai aur aapka phone root hona start ho jata hai.
- kuch hi samay baad aapko Successfull root ka alert aata hai, ab aapka phone rooted hai.
Last words on Root
Is article me hamne jana ki root kya hai aur android phone ko root kaise kare karke, yadi aapko hamara article pasand aaya hai tab please ise apne friends ke sath jaroor share kare.
Yadi aapko android phone ko root kaise kare me dikkat aati hai tab aap hame comment karke aapki problems puch sakte hai, ham aapke problems ka reply jaroor karege