Reverse Image Search Kya Hai? Puri Jankari Hindi Me

Jaisa ki Reverse Image Search ke bare me jante hi hoge ye ek aisa tool hai jiski help se aap kisi bhi image ko online search kar sakte hai, jaise ki yadi aapke paas koi image hai aur aap uski details nikalna chahte hai tab aap Reverse Image Search ka use karke aisa kar sakte hai.

Waise to google har baar kuch na kuch aise tool banata hai jo ki user ko kaafi help kare, aise se google apne user ka engagement bhi badta hai sath hi aise se google ke use bhi bad rahe hai.

Hamare sath aksar aisa hota hai jab hame kisi image ki details janni hoti hai lekin hamare paas us image ki jaankari kaise nikale iska koi idea hi nahi hota hai tab google reverse image search too hamare bahot kaam aata hai.

Internet ke jariye ham kisi bhi question ko aasani se search engine ke jariye search kar sakte hai lekin images ko search karna ye baat par vishwas karna thoda muskil sa lagta hai lekin aaj internet ki duniya me kuch bhi impossible nahi hai, aap content ke sath images bhi search kar sakte hai.

Chaliye ek ek karke un saari steps ke bare me jante hai jinki help se aap Kisi bhi image ki detail kaise nikale ke bare me jaan payege.

Android Phone Ka Use Karke

Bahot se logo ke paas android phone hota aur ve phone ke jariye image reverse search karna chahte hai lekin unke paas aisa koi idea nahi hota hai ki kaise kiya jaye, Iske liye sabse pahle aapko kisi bhi browser ko open kar lena hai, mai suggest karuga ki aap Chrome Browser hi use kare.

Chrome Browser me reverse image search karna bahot hi aasan ho jata hai, iske liye sabse pahle aapko chrome browser open karna hai phir google.com open karna hai, uske baad images par click kar de.

Browser ko desktop mode me lana bahot hi jaroori ho jata hai iske liye aapko right corner me available three lines par click karke Enable Desktop Mode par click karna hota hai.

Jaise hi aap desktop mode ko enable kar dete hai tab aapka browser ka look desktop ke jaise najar aane lgta hai, ab aapko search box me camera ke logo dikhayi dega aapko us logo ko click karna hai, jispe click karne ke baad aapki jis image ki details chaiye us image ko upload karna hoga, image upload hone ke baad aapko search button par click karna hai, Aapko aapki image se related sari details show hone lagegi.

Upar bataye gaye method ka istemaal karke aap kisi bhi image ke bare me aasani se details ka pata laga sakte hai, aasa karta hu ki aapko mere dwara bataya gaya article pasand aaya hoga yadi aapko reverse image search kaise karte article accha laga ho to ise apne sabhi friends ke sath jaroor share kare.

Leave a comment

0 Shares
Share via
Copy link
Powered by Social Snap