Yadi aap internet par Android Tips And Tricks ya Smartphone Tips and Tricks ya Best Smartphone Tips And Tricks ya Top 10 Best Smartphone Tips And Tricks In Hindi search karte rahte hai to aap bahut hi acchi jagah par aaye hai, Aaj ham aapko is article ki help se aapko aapke sare questions jaise ki Best camera tips and tricks in hindi ya battery optimization tips and tricks ya bahut se sawalo ka jawab batayege.
Smartphone pahle se bhi jyada advance ho gaye hai.Ve kahi Features ke sath ban rahe hai,Jaise front aur Rear facing camera, heart rate monitors, fingerprint screen lock, aur aise bahut se features ke sath bane ja rahe hai jiski kalpana karna bhi impossible hai.
Aajkal har insan smartphone use karta hai , aur yadi usse smartphone me kuch karte nahi banta to wo search engine me search karke pata laga leta hai aur simple si problem ka solve kar leta hai, Hamne common problems ko solve karne ke liye is article me bahut sare tips aur tricks btaye hai jise padkar aap apne phone ke boss ban jayege.
Naye taiko se apne phone ko use karne ke liye yaha bahut si tips batayi jayegi. Ye tips aapke samrtphone ke sath aapka rishta hi badal degi to chaliye Smartphone se judi best tips and tricks ke bare me jante hai.
Bahut sari apps background me chalti rahti hai,bhale hi aap unka use nahi kar rahe ho phir bhi. Yah email, aur social media jaisi chijo ke liye samajh aata hai, kyuki aap inse prapt hone wali notification chahte hai.
” IOS ke sath aap app-by-app ke base par background data band kar sakte hai iska matlab yah ki aap kisi bhi apps ka data apne anusar band kar sakte hai jab tak ki aap us apps ko open na kare tab tak. Iske liye bas aapko Settings—>General—>Background App Refresh me jana hota hai aur uske bad jis bhi app ko background me band karna hai use select karna hota hai.”
“Android ke sath, aap sabhi apps ke liye Background data restrict kar sakte hai. Iske liye aap Settings->Data usage par jaye aur aap jis app ko background me band karna chahte hai use select kare phir cellular network par jakar background data ko band karne ke liye niche scroll kare.
Hamare phone ke notification pannel me aisi bahut sari notification aati rahte hai jinki ham jarurat nahi padti hai aur ham un notification ko recieve bhi nahi karna chahte hai, lekin hame ye pata nahi hota ki un notification ko off kaise karte hai.
Mai aapko bata du ki ye notification aapke phone ki battary bhi khatm karti hai. Agar aap in notification ko off karna chahte hai to aapko bas us notification ke upar long press karna hai aur phir aap notification wali app ki details me chale jayege waha aapko simpally show notification par untick karna hai.
Aap un apps ka cellular data band kar de jise aap use hi nahi karte hai iske liye aap phone ki setting me jakar Data usage tab me jaye aur jo apps aapka jyada data use karti hai unpe tap karke Restrict app background data wale option ko tick karke on karle.
Ham hamesha se hi apne phone me free apps ka use karte aaye hai lekin aap jante hi hoge ki in apps ko jaise hi ham start karte hai hame bahut se Ad show hote hai jinki wajah se hamara data aur battary bahut jald khatm ho jati hai.
Lekin aap premium apps ko use karte hai to aapko in apps me aise feature milte hai jinki wajah se aapko na hi Ad show hote hai na hi ye app aapke phone ki battary kharch karte hai.
Kya aapne kabhi socha hai ki phone banane wale manufacturers aise chhote charging cable kyu bante hai? Kya ve paisa bachana chahte hai? Nahi…..!, Aisa nahi hai ve chhote charging cable isiliye banate hai kyuki ve nahi chahte ki aap phone charge karte samay phone ka use na kare.
Jab bhi ham phone charge karte time usko use karte hai phone ki battary jald charge nahi hoti hai aur battary jald hi kharab ho jati hai.Jyadatar phone Li-ion battery par chalte hai aur in batteries me limit charge cycle hota hai jinhe khatm ho jane par dobara charge karna hota hai.
Aisa har kisi ke sath hota hai jab hamare phone ki battery thodi si hi bachi rahti hai lekin us time hamare pas charger nahi hota hai to ham bahut pareshan ho jate hai.
Lekin pareshan mat hoiye iska bhi solution hai hamare pas, Aap battery setting me jakar Low Power Mode ya battery saver ko on karle isse aapke phone me jo task kaam ke nahi hote hai wo disable ho jate hai aur aapke battery ki power kuch samay tak bane rahti hai.
Har bar jab aapke phone par Email, Snapchat, Twitter ya kisi bhi apps ki notification recieve hoti hai to aapka phone apni battery power kho deta hai. Us battary power ko adhik rakhne ke liye notification alerts ko kam hi rakhe.
Ham jante hai ki aap ek bhi mail miss nahi karna chahte hai. Lekin fetch function jo ki hamesha naye mail ki talash me rahta hai aur aapke inbox ko update karne ke sath hi ping karta hai yahi battery discharge hone ki sabse badi problem hai. Jab aap bahar ho ya travel kar rahe ho to kam se har funtion ko band rakhe.
Mausam ki jankari ko apne phone ke lock screen par rakhe. Aisa karne ke liye bahut si apps hai lekin yaha mai aapko android aur ios ke liye kuch free apps recommend karuga Iphone ke liye aap Wheather Lock Screen aur android ke liye aap Beautifull Widgets download karke install kare aur inka use kare.
Aamtaur par log smartphone isiliye kharidte hai taki wo apna pasandida song aur video dekh, sun sake.
Lekin hamara phone ka storage kuch hi capicity ke sath aata hai jisse hame hamare music aur videos ko PC me save karna pad jata hai.
Aur kafi log kuch hi songs apne phone me store kar pate hai. Is problem ko dhhyan me rakhte huye kisi ne ispar gaur kiya aur aur simple se hack ke sath aane ka faisla kiya jo ki wi-fi ka use karke apne PC se apne songs ko smartphone me stream karne me saksham banata hai.
Gmote ek android app hai jiska use karke ham aisa kar sakte hai.
Aisa sabhi ke sath hota hai jab aapka koi friend aapse bat karte samay kuch hilarious type ka text bana deta hai jise aap apne kisi aur friend ke sath share karna chahte hai tab aapke pas Screenshot ka option available hota hai.
Iphone me screenshot lene ke liye aap Home button ke sath Sleep/Wake button ko kuch samay tak press karke rakhe tab aapko shutter sound sunayi dega aur aapka screenshot save ho jayega.
Android me screenshot lene ke liye aap ek hi samay me power aur volume up ya volume button press kare.
Har phone me ye alag alag tarah se kam karta hai to aap ek bar try karke dekh le ki aapka phone volume up ya volume down ke sath screenshot capture karta hai.
Jab aap screenshot le lege to ye aapki gallary me screenshot ke folder me save ho jata hai.
Ek bar aapke pas screenshot image ho jane ke bad ise aap apni favourite social site par friend ke sath share kar sakte hai.
Sabse accha android keyboard kaunsa hai? Simple- Wo keyboard jo aapke liye kaam karta hai. Lekin aap phone ke sath aaye keyboard ka use nahi karna chahte hai.
Samsung ya HTC jaise phone bahut sare keyboard ke sath hi aate hai jaise ki Stock android keyboard ya third party ke keyboard jaise Swiftkey ya Skype.
Sabse pahle to aap apne phone ke keyboard ke keyprees par vibration mode ko off karde, jise aap Setting > language & input ya language & keyboard setting me jakar kar sakte hai.
Mai aisa isiliye kh raha hu kyuki jab aap typing karte hai to vibrate hone ki wajah se aap acche tarah se typing nahi kar pate hai.
Waise to kuch keyboard acche hai , Stock android keyboard bhi accha hai lekin jyadatar swiftkey keyboard ka use kiya jata hai. ye bhi free keyboard hai jise aap download karke use kar sakte hai.
Ek standard android browser aapko tabbed browsing deta hai. Ye browse keval advertisement ke liye hi accha kam nahi karte balki ek URL ko kuch samay tak press karke aap is link ko ek naye tab me open kar sakte hai jiske bad aap menu wale option me jakar tab switch kar sakte hai. Ye browser use friendly hote huye acche se kam karte hai.
Aap IOS me call back later ke feature ka use kar sakte hai,Aap auto reply ka usekis tarah se karna chahte hai ye aapke iOS version bhi depend karta hai. iOS 9 me aap slide ke upar Remind me tap karte hai lekin iske pahle wale version me aap upar ki or swipe karte hai aur remind me ka feature use karte hai.
Phone ko reset karne se pahle ya service center me dene se pahle aap apne phone ka backup karle taki aap apne phone ke sabhi files ko khone se bacha sake. Backup karne ke liye aisi bahut si apps available ho gayi hai jinka use karke aap aasani se kisi bhi phone ka backup le sakte hai.
Users apne smartphone ke liye free me memory management software download karke install kar sakte hai. Ye program hard drive ko defragmenting karke khoye gaye data ko restore karne me help karta hai. Defragmentation android ko tezi se chalane me bhi help karta hai aur ise ham phone ko chalate samay bhi use kar sakte hai.Ek bar ye software install ho jane par user programs ko chalane aur kuch memory free karne ke liye kisi bhi samay app par click kar sakta hai. Ye software user ko aise bahut se feature provide karta hai jinki help se aap memory usage ko top level par rakh sakte hai.
Android Mobile me Internal Phone Storage ko kaise free kare ya clean kare jisse aur bhi space ho jaye. Sabhi normal android phones me kya hota hain wo jyda internal storage yaani ki ROM nahi deti hain. Jisame agar users bahut saare data’s ko save rakh kar rakhte hain to unke device me space kam ho jata hain. To abhi ham vahi janege ki kaise ham apne phone ki Internal memory ko free kare. Aisa kyu aur kis wajah se hota hai Jab bhi koi android user adhik se adhik apps ko phone me install karta hai tab ye problem hoti hai.
DiskUsage app bahut hi purna app hai lekin ye app aaj bhi bahut jyada use kiyajata hai. Is app ki khash bat yah hai ki is app ki help se app apne phone ke sabhi stored files ko ek jagah dekh paoge aur un files ne kitna storage liya hai ye bhi dekh paoge. Maan lijiye aapke mobile me bahut sari videos different different folder me hai to aise me aapko unhe search karke delete karne ko time lagta hai ya unhe search karne me hi time lagta hai tab aise time diskUsage app bahut kam aata hai kyuki, Diskusage app sari videos ya kisi bhi tarah ki files ko ek hi jagah dikha deta hai jinhe search karne me koi pareshani nahi hoti hai. DiskUsage app me aapko bahut sare features ko dekhne mil jayega jaise ki kisi bhi folder ka size kitna hai isme kitna data bhara hua hai aur bahut kuch.
Darr Full Movie Download Filmywap करना चाहते है तो आप इसे 480p,720p और 1080p जैसी क्वालिटी…
Kabhi Haan Kabhi Naa Full Movie Download Filmywap करना चाहते है तो आप इसे 480p,720p और…
Devdas Full Movie Download Filmywap करना चाहते है तो आप इसे 480p,720p और 1080p जैसी क्वालिटी…
Veer Zaara Full Movie Download Filmywap करना चाहते है तो आप इसे 480p,720p और 1080p जैसी…
Kal Ho Naa Ho Full Movie Download Filmywap करना चाहते है तो आप इसे 480p,720p और…
My Name Is Khan Full Movie Download Filmywap करना चाहते है तो आप इसे 480p,720p और…
View Comments