Aaj kal har wo insan jo technology se connect hai wo internet ka use jaroor karta hai, Lekin kahi na kahi internet ka use karte time wo jis browser me Browsing karta hai Waha advertising itni jyada hoti hai ki User ka na chahte huye bhi add par click ho jata hai.Aaj mai aapko aise browser ke bare me batauga jo na keval aapko ad free browsing karne deta hai balki privacy safety jaise aise bahut se feature provide karta hai, Jiska name Brave Browser hai.
Agar dekha jaye to chrome, google, firefox, opera etc. browser me jo kuch ham search karte hai wo sab track ho jata hai yaha tak ki ye browser hamare ip address, history, aur password tk ko save kar leta hai.
Kuch website aisi hoti hai jo earning ke liye aise ad ka use karti hai jinme malware hota hai, Ya fir wo ad network hackers ke dwara banaya gaya hota hai jispe click karne se hamare system me virus chale jate hai aur hackers hamari sari details chura leta hai.
Aise me aap brave browser ka use karke hacker se apne data ko safe rakh sakte hai sath hi sath aap brave browser ka use karke ad free browsing bhi kar sakte hai.Ye browser aapko aise aise feature provide karta hai jisse aapka data track nahi hota hai aur koi hacker aapki details ya ip address ko track nahi kar pata hai.
Brave browser ko use karne ke waise to fayde bahut se hai lekin aaj mai isko use karne ke top 10 fayde btauga.
हमारे इन आर्टिकल को भी जरूर पढ़े
-
Computer या PC में बिना Mouse के Keyboard से कैसे काम करे
-
Instagram Par Follower Kaise Badhaye
-
26+ Best Profitable Blog Niche Ideas List In Hindi
-
2020 में Online पैसे कैसे कमाए
Brave browser ko use karne ke 10 bade fayde
1. Super Fast Browser
Brave browser ko use karne ka sabse bada fayda yah hai ki ye browser dusre browser ki tulna me bahut hi fast hai ye browser desktop par chrome aur firefox se 2x aur mobile me 8x fast hai.
2. Ad free browser
Is browser ki khas bat yah hai ki ye browser puri tarah se ad free hai, Ham chahe jo bhi site browse kare uspe add show karne ke liye allow kar sakte hai ya ad show na karne ke liye disable bhi kar sakte hai iske liye hame kisi aur extension ki jarurat nahi padti hai ye sab browser me pre-install hai.
3. Safe browsing
Is browser ki third khaas bat yah hai ki ye browser bahut hi safe hai. is browser me aap secret browsing kar sakte hai aur aap apne data ko save hone se bacha bhi sakte hai mtlb is browser ka use aap private browser ki tarah kar sakte hai jisme aapka koi bhi data save nahi hoga aur na hi koi history create hogi.
4. Its Free For all
Brave browser ek free open source web browser hai jiska use koi bhi free me kar sakta hai iske liye aapko koi charge ki jarurat nahi padti hai. Lekin iska premium version bhi available hai jiske liye aapko kuch paise pay karna padta hai kyuki isme kuch extra khash feature available hai.
Aap chahe to iska paid version purchase kar sakte hai lekin mere hisab se iska fre version hi kafi hai kyuki isme wo sabhi features available hai jiski hame jarurat hai.
5. Include Automatic HTTPS
brave browser automatically Kisi bhi site ko HTTPS me enable kar leta hai iska matlab aap chahkar bhi isme unsafe browsing nahi kar sakte hai, Matlab ki aap galti se bhi kisi unsafe site ko open nahi kar payege.
Is feautre ka use aap kisi bhi site par browsing karne ke liye kar sakte hai bas iske liye aapko browser ki shield setting me jana hai.
6. Prevent by malware attack
Brave browser ki aur ek khaash bat yah hai ki ye browser ek tarah se antivirus ki tarah se kam karta hai jo hamare device ko malware jaise malicious, phishing, hackers script, malware, torrent downloading, ransomware, cryptojacking, aur bahut sare virus se bachata hai.
7. Blocking script and save data
Internet par aisi bahut si file upload hai jinka file size to bahut chhota sa hai lekin un par bahut sari extra script use hoti hai jinki wajah se hamara bahut sara data bekar chala jata hai.
Brave browser ka use karke aap kisi ki website ke liye script ko block karke apne data ko save kar sakte hai.
8. Block website trackers
Internet par aisi bahut si wesites hai jinme trackers ka use hota hai jis wajah se aapki personal details jaise ip address, email address aur password etc ko track kar liya jata hai aur fir us data ka galat use kiya jata hai. Lekin brave browser me website tracker by default block kar diya jata hai jiske bad aapki koi bhi activity track nahi hoti hai.
9 Block unwanted websites
Internet par aisi bahut sari website hoti hai jinme virus script hoti hai. Aap jab in site par visit karte hai to virus automatically aapke device me download ho jate hai aur aapke data ke sath chhedchhad karte hai. Lekin brave browser aisi sabhi sites ko block kar deta hai jisse aap browser me aap bina kisi tension ke free browsing kar sakte hai .
10. Earn money from brave browser
Brave browser aisa browser hai jo aapko ispe browsing karne ke paise deta hai. Brave browser ka khudka ek ad network hai jise aap enable karke iska use kar sakte hai, lekin ye bitcoin me payment karta hai.
Iske alawa brave browser hame aise bahut sare feauture provide karta hai. i hope ki aap brave browser ke bare me jankar ise try karne ki koshish jarur karege aur mai aapko suggest bhi karuga ki ise aap jarur try kare